Har Maqsad Me Kamyabi K Liye Wazifa
Assalam-o-Alikum,
Today we are going to share with you the best wazifa for everything
and every success in life. This post will be in urdu. If you are an English
reader please read the same post in English by clicking the link below:
Urdu Explanation:
Zindagi me hum sub har kaam aur cheez mai kamyab hona
chahtay hain but hamaray aas pass buhat he kam log aisay hotay hain jo waqai
har zingagi k area mai kamyab hotay hain aur kamyab unhain talash karti phirit
hai. Kia waja hai k aik admi har kaam karta hai aur nakam hojata hai aur doosra
koi bi kaam karta hai wo kamyab hojata hai. Me yahan apkay k liye aik buhat he
mufeed, powerful, working wazifa de raha hou jiskay karnay se 60 roz k andar
andar apki zindagi me kamyabiyan ana shoro hojayingi. Yad rakhaye k wazifa ko kamyab honay k liye
zaruri hai k ap har chotay baray gunah se dauur rahain jesay sharab noshi,
zina, sood khoori aur haram zaraye se kamaye apko chorni paregi warna ye wazifa
ap ko faida nahi dega.
Astaghfar ki Kasrat:
Apni zindagi me astaghfar ki kasrat ko mamool bana lain ager
ap waqai kamyai chahtay hain is dunya ki aur akhirtat ki bi. Nechay di gaye dua
ko yad karlain. Aik list banayen aur apni har ghalti, gunah aur bura ya
negative event jo apki life me huwa us ko likh lain. Zehan nasheen karlain is
list ko takay juba p wazifa karnay bhatain toh ye sub yad houn. In ghaltiou aur
gunhaou ko zehan me rakh k Allah se bakshish talab karain. Wazifa start karnay se pehlay 11 dafa
durood-e-Ibrahimi parhlain aur khatam karnay k baad bi. Astaghfar wesay toh
sara din he karain, chaltay phirtay uthtay beht tay magar fajar ki namaz k
baad, maghrib ki namaz se pehlay aur isha ki namaz se pehlay ye zarur parhain
tamam ghaltioun aur guhanou ko zehan me rakh k Allah k huzoor maafi talab
karain.
Yaad rakhain Allah ne apko buhat se blessings (naimtou) se Nawaz
rakha he. Aik list banayen jis me woh tamam naimatain likhain jo Allah ne apko
di hain. In tamam blessings ko zehan nasheen karlain aur surah fatiha ka wird
karain in naimatou ko zehan me rakhtay huway. Ye apki soch aur zindagi ka
zawiya he badal dega aur apki zindagi me sirf kamyabi aur shadmani hogi. Yad
rakhain Allah naimtaou ko barhadetay hain jub hum shukar guzar banday ban kay
zindagi guzartay hain.
No comments:
Post a Comment