Achi Zindagi k liye Wazifa (Wazifa for good and successful
life)
Assalam-0-Alikum brothers and sisters,
Today, in this post,
we are going to share with you another amazing and effective and very powerful
wazifa for a successful and good life that everybody dreams of. Please note
doing wazifa is a constant practice and it takes time to produce positive
results. Wazifas work for people who continue doing with the firm belief.
Har kisi ki khuwahish hoti hai k uski zindagi achi ho per
buhat he kam log aisay hotay hain jinhain waqai sahi manou me achi zindagi
naseeb hoti hai. Achi zindagi se murad yahan aisi zindagi hai k jis me na
maashi(financial) mislay hou aur na kisi aur qism. Naiz aisi zindagi jis me
sukoon he sukoon ho. Is post me hum aisa anmol wazifa apko batayengay k jis ko
karnay k baad apki zindagi me buhat he khush-gawar changes ayengi aur ap k
zindagi me har phasa huwa kaam bannay lagega. Is wazifa ko karnay k liye na toh
kisi ki ijazat zaruri hai aur na he is wazifa k liye koi khas din set hain aur
na timeline. Ap is wazifa ko apni zindagi ka lazmi hiisa banalain aur phir
dekhain apki zindagi me kesay khushiyan aur rahat he rahat ati hai. Ye baat bi
zehan me rahay k ye wazifa sirf unhe logou k liye kaam karega jin ka yaqeen
Allah(SWT) pe 100 fisad hoga.
Astaghfar ki Kasrat Karain:
Astaghfar k mani hain k Allah se bakhshish talab karna aur
har hal me us se madad talab karna. Quran e Pak me Allah(SWT) jaga jaga
astaghfar ka zikar kar rahay hain k kesay who logou ko museebatou se nikal deta
hai jub log astaghfar kartay hain. Ye zaruri nahi k ap ne koi kabeera gunah kia
huwa toh tub he astaghfar karain. Yaad rakhye hum roz koi na koi aisa chota
gunah kartay hain jis se Allah ki pakar hosakti hai. So zaruri hai k ajazi k
sath din bhar astafghar karain har chotay baray gunah aur apnay se sarzard huwi
ghaltiyou per. Kuch din baad apko waqai
aisay lagayga k har mamaly me Allah pak apki madad karahay hain chahay wo
beemari ko ya qarz ya koi aisi adat jo gunah-e-kabeera k zumray me ati
hai. Yad rakhye astaghfar ki fazilat
buhat zada hai Allah pak ko sub se zada pasand hai jub banda us k huzoor maafi
talab karta hai. Ye nechay di gaye dua ko yaad karlijye aur chaltay phirtay
uthtay bhet tay is ka zikr kartay rahain. Apni har choti bari ghalti aur gunah
ko sochaye aur un pe maafi talab karain Allah k huzoor.
Achi Zindagi k liye Wazifa |
Shukar Guzari Karain (Gratitude):
Gratitude, Shukar Guzari ko apni zindagi ka hissa banalain
ager ap achi zindagi k muntazir hain. Aam taur pe log ye samjhtay hain k hum
shukar guzar hotay hain jub ko gift ata hai kahen se ya phir job me promotion
hoti hai ya phir bacchay ya bacchi ki paidiash hoti hai ghar me. Per yad rakhye
ye shukar guzari nahi jis se apki zindagi achi hojaye. Shukar guzari ye hai k
ap aik lists banayen jis me har who blessing likhain jo Allah ne apko ata ki
hai. For example, ghar, family, gari, achay dost, achi sehat aur thought level
pe Allah ka shukar ada karain. Ye toh huwa aik tareeqa. Ab dosra level shukar
guzari ka hai k ager apkay halaat achay nahi bi jesay apkay pas job nahi ya
ghar nahi ya family nahi toh shukar ada karain is per bi k Allah ne apko is se
worst ya bura test nahi diya. Jub apkay anda second level of shukar guzari peda
hojayga jo upper bayan ki hai toh apkay zindagi me muajzaat honay lagengay.
Ager apkay pas gari nahi to wo ajaygi, ager apkay pas apna ghar nahi toh wo bi
ajayga, ager apkay han aulad ki paidaish nahi hoti toh woh bi ajaygi. Gharz k
har blessing, naimat apko hasil hona shoro hojaygi ahista ahista. Shukar guzari
ko apna attitude banalain. Acha ho ya bura, ap ne shukar ada karna hai. Ager
zindagi me kuch acha huwa toh is liye k Allah ne ap per apna fazal aur inam kia
hai. Ager bura hai zindagi me kuch toh is pe bi shukar guzari k Allah apko is
se bi battar hal me rakh sakta tha. Yaqeeen janaye ye aik mushkil kaam zarorr hail
akin jub apko iski adat hojaygi toh ye Apki zindagi ko 360 degree change
kardayga aur apki zindagi me sirf blessings aur Allah ki naiamtaou k ilawa kuch
nahi hoga. Per shart ye hai k ap second level ka gratitude karain aur astaghfar
bi.
No comments:
Post a Comment