Tuesday, October 3, 2017

Achi Zindagi k liye Wazifa

Achi Zindagi k liye Wazifa (Wazifa for good and successful life)

Assalam-0-Alikum brothers and sisters,

Today, in this post, we are going to share with you another amazing and effective and very powerful wazifa for a successful and good life that everybody dreams of. Please note doing wazifa is a constant practice and it takes time to produce positive results. Wazifas work for people who continue doing with the firm belief.

Har kisi ki khuwahish hoti hai k uski zindagi achi ho per buhat he kam log aisay hotay hain jinhain waqai sahi manou me achi zindagi naseeb hoti hai. Achi zindagi se murad yahan aisi zindagi hai k jis me na maashi(financial) mislay hou aur na kisi aur qism. Naiz aisi zindagi jis me sukoon he sukoon ho. Is post me hum aisa anmol wazifa apko batayengay k jis ko karnay k baad apki zindagi me buhat he khush-gawar changes ayengi aur ap k zindagi me har phasa huwa kaam bannay lagega. Is wazifa ko karnay k liye na toh kisi ki ijazat zaruri hai aur na he is wazifa k liye koi khas din set hain aur na timeline. Ap is wazifa ko apni zindagi ka lazmi hiisa banalain aur phir dekhain apki zindagi me kesay khushiyan aur rahat he rahat ati hai. Ye baat bi zehan me rahay k ye wazifa sirf unhe logou k liye kaam karega jin ka yaqeen Allah(SWT) pe 100 fisad hoga. 


Astaghfar ki Kasrat Karain:
Astaghfar k mani hain k Allah se bakhshish talab karna aur har hal me us se madad talab karna. Quran e Pak me Allah(SWT) jaga jaga astaghfar ka zikar kar rahay hain k kesay who logou ko museebatou se nikal deta hai jub log astaghfar kartay hain. Ye zaruri nahi k ap ne koi kabeera gunah kia huwa toh tub he astaghfar karain. Yaad rakhye hum roz koi na koi aisa chota gunah kartay hain jis se Allah ki pakar hosakti hai. So zaruri hai k ajazi k sath din bhar astafghar karain har chotay baray gunah aur apnay se sarzard huwi ghaltiyou  per. Kuch din baad apko waqai aisay lagayga k har mamaly me Allah pak apki madad karahay hain chahay wo beemari ko ya qarz ya koi aisi adat jo gunah-e-kabeera k zumray me ati hai.  Yad rakhye astaghfar ki fazilat buhat zada hai Allah pak ko sub se zada pasand hai jub banda us k huzoor maafi talab karta hai. Ye nechay di gaye dua ko yaad karlijye aur chaltay phirtay uthtay bhet tay is ka zikr kartay rahain. Apni har choti bari ghalti aur gunah ko sochaye aur un pe maafi talab karain Allah k huzoor.

Achi Zindagi k liye Wazifa
Shukar Guzari Karain (Gratitude):
Gratitude, Shukar Guzari ko apni zindagi ka hissa banalain ager ap achi zindagi k muntazir hain. Aam taur pe log ye samjhtay hain k hum shukar guzar hotay hain jub ko gift ata hai kahen se ya phir job me promotion hoti hai ya phir bacchay ya bacchi ki paidiash hoti hai ghar me. Per yad rakhye ye shukar guzari nahi jis se apki zindagi achi hojaye. Shukar guzari ye hai k ap aik lists banayen jis me har who blessing likhain jo Allah ne apko ata ki hai. For example, ghar, family, gari, achay dost, achi sehat aur thought level pe Allah ka shukar ada karain. Ye toh huwa aik tareeqa. Ab dosra level shukar guzari ka hai k ager apkay halaat achay nahi bi jesay apkay pas job nahi ya ghar nahi ya family nahi toh shukar ada karain is per bi k Allah ne apko is se worst ya bura test nahi diya. Jub apkay anda second level of shukar guzari peda hojayga jo upper bayan ki hai toh apkay zindagi me muajzaat honay lagengay. Ager apkay pas gari nahi to wo ajaygi, ager apkay pas apna ghar nahi toh wo bi ajayga, ager apkay han aulad ki paidaish nahi hoti toh woh bi ajaygi. Gharz k har blessing, naimat apko hasil hona shoro hojaygi ahista ahista. Shukar guzari ko apna attitude banalain. Acha ho ya bura, ap ne shukar ada karna hai. Ager zindagi me kuch acha huwa toh is liye k Allah ne ap per apna fazal aur inam kia hai. Ager bura hai zindagi me kuch toh is pe bi shukar guzari k Allah apko is se bi battar hal me rakh sakta tha. Yaqeeen janaye ye aik mushkil kaam zarorr hail akin jub apko iski adat hojaygi toh ye Apki zindagi ko 360 degree change kardayga aur apki zindagi me sirf blessings aur Allah ki naiamtaou k ilawa kuch nahi hoga. Per shart ye hai k ap second level ka gratitude karain aur astaghfar bi.





No comments:

Post a Comment